Saturday, December 02, 2006

sunee huee kahaneeyaan


Sree Ram ka Kaikeyi Maa se milan bada Karun prasang hai -- Ramayan Katha ka !
Harsh aur vishad dono jab sang sang chalte hain tub Karuna ki parakashtha ho jati hai Usike sandarbh mein,

aage ki Katha bhi yaad aa rahi hai ki,
bilkul aakhir mein Sree Ram Kaushalya Maa ke Kaksha mein aaye, Maa ne 14 barson ka Laad apne Saral , seedhe, sacche ek matra putra Ram per nichawar ker diya ---
Mata Kaushalya Ramji ka hath pakad ker , Urmilaji ke bhavan ki aur le chaleen .......
.Lakshmanji Mata Sumitraji ke sang the .........

.Urmilaji Maun - thin ......unke kamre ki diwaron per halke se dhabbe dekh ker Ramji aur Seetaji ne Kaushalyaji se poocha , " ye kya hai Maa ? "
Tub Kaushalya maa ne kaha ,
" ye Urmila ke sir patakne se , diwaron per daag = dhabbe lag gaye hain .........
kyonki woh apna dukh , kisise kehti na thi ! "~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~Maa Kaushlaya ka ek aur prasang suna hai ki,
Apne priya putra Ram ke Van - gaman ke samay , Maata Kaushalya , Ayodhya Puri ki, Ashwa Shala bhi , gayeen thin -- jab unhe ye pata chala ki, Sree Ram ke Ashwa , thik se kha nahi rahe the - Ram ke viyog mein :-( aur Maa Kaushlaya ne oon Ashwaon ko bahot prem se sehlaya tha aur dheeraj bandhayi thi ki, Ram laut aayengen , tum bhi raah dekho jaise main dekhoongi -- Aise prasang shayad Ramayan mein hon ya nahi, Lok - Katha wali Ramayan humare Lok Geeton se judi , sadiyon se , humari Sanskriti ko majboot rakhe hue hai --- Aur aise kisse sun ker hi , Sree Ram ya sree Krishna , humare Pujniya hi nahi, humare bahot nikat aa ker humare APNE bun ker hriday mein sama jate hain
---- This I believe is the Genius of Indian thought !
---Lavanya

0 Comments:

Post a Comment

<< Home