Thursday, September 21, 2006

Fagun ....aayo re ! .........



Fagun ....aayo re ! .........

(both images by: Late Smt.
Susheela Narendra Sharma , my Amma )


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Paki paki fasal lahraye oodhe peeli sarson ki chunariyaa
Tere khet mein Makka- Bajra, mere , Gehoon ki Baliyaan -

Ganv - Ganv ghoom rahee toliyaan, Holika - dahan taiyyari
Kisi ki khat, kisi ka paat , kisili ke haath Lakdiyaan !

Neela , peela, Hara Jamuni, Narangi, Laal rang saja hai
Prakruti ne karvat badlee hai , Tesu ~ sa rang khila hai !

Dari Dari Kook rahi hai , hook oothati, kari kari , Koyaliya
Kislay ke chikne paat chip, jhaank rahi , sharmeeli Goraiyya -

Mand Sugandh Purva se mil ker parimal paanv pasare
Aamra Manjri oonchi tehni se , Fagun ki taan, sunave !

" Peehu ...Peehu Kahan mere Piy ?" Papiha bain pukare
Gori ki , Prem - Agan ,nayanan jal pee, jwala bun dehkave.

" Hey Vidhata ! Kyon bhejyo Fagun ? " Birha Jiya akulaye --
" Piya binu Kaisee Hori ? Kaisee aayee ye Rut albeli ? "

Fagun fagunaya , hans padee Kamleeni pokhar mein ~
Hath badha ker use tod ker chadha diya Shiv ~ Poojan mein !

" Maangun tumse Bhole Baba ! Mere Piya mujhe lauta do !
Diya Fagun ka Var to SHAMBHU ! Priyatam bhi lauta do ! "

Netra moond ker Nayee Dulhaniya , Mandir mei Deep Jalave
Bichude piy ki mala japti , man hi man , mand mand muskave !
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ * ~~~~~~~~~~~~* ~~~~~~~~~~~~ * ~~~~~~ * ~~~~~~~~~~~~~ *
[ Lavanya ]

0 Comments:

Post a Comment

<< Home