Tuesday, September 19, 2006

Shree Ganesh ka aagman

Suni Sanjh...kuch yun bitayee humne ......[ Flashback ] ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~Gauri Kund ki kuch Mitti leker hathon mein,
Ek akeli Sanj ko , soch raheen Maa Parbati,
Kab aayenge ghar , mere , Shiv ~ Sunder ?
Keshar mishrit ubtan leker hathon mein
tub khoob use mal mal ker ootara
fir apne ang se khel khel mein
bana dee aakruti ek balak ki aur halke se ,
foonk diye praan apni sanson keaur kaha,
" dekho ye mera putra Vinayak hai ! "
Sunee Sanjh kahan fir rehti sooni sooni ?
Hua aagman , Shree Ganesh ka Jag mein !
Parbati ke pyare putra tub aaye Jag mein
Shivji laut rahe the chod Kailash aur tapasya
Dwar ke pehredaar bun khade ho gaye Baal Ganesh ,
Maata ke bun ke Rakshak !
" Fir aage kya hua Maa ? Kaho na ...".
poochne lagee bitiya meri , mujhse !
Ek soonee sanjh ke samay ,
sun rahee thee woh mujhse
yeh Katha puranee Aur Main,
use kerti ja rahee thi taiyyar
Ratri - bhoj ke pehle ye bhi karna tha,
Bus ab aate hi hongen , Mehmaan !~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~[ Lavanya ]

6 Comments:

Blogger Deepak Jeswal said...

Hi Lavanyaji,

It's great to see your blog... welcome to the blogger community :-)

Warm regards,
Deepak Jeswal
www.deepakjeswal.com

6:38 AM  
Blogger लावण्यम्` ~ अन्तर्मन्` said...

Hi Deepak bhai,

your Welcome arrived the first !
Shukriya ....

milte rahengen :-)
regards,
lavanya

8:32 AM  
Blogger renu ahuja said...

namastey Lavanya,
Shri ganesh kaa kaa agman ki kathaa-beti-mehman, in teen alag alag sutron ko kyaa khoob piroyaa hai.
blog key liye bhi shubhkaamnaayen.
regards
renu.

7:34 AM  
Blogger लावण्यम्` ~ अन्तर्मन्` said...

Renuji,
Namaskar !
aapka shukriya ki aap mere BLOG per aayeen aur comments rakhe.
Asha hai aap swastha hongeen.
sa sneh,
lavanya

8:19 PM  
Blogger Narendra Vyas said...

Lavanya didi sadar pranaam ! aapko ganesh chaturthi kee hardik shubhkamnayen. itne dino baad aapka aashirwad pakar...dhany huwa. shree Vinayak ke janm kee katha bahut sahaj, sundar aur bhavuk shabdon me kahee hai aapne...!
sabse badi aur prernaadai baat ye hai ki..didi aap videsh me rahkar bhee apne parivaar me jo aadarsh, sanskar, shaalinta, bhakti-bhav aadi apne bachchon me pravahit karti hain....sach me aapko naman karne ko man karta hai..maaf keejiyega didi..main aapke blog par aapke kahne par aaya,,,ye meri hee galti hai..mujhe aise paavan, sanskaarit aur aatmik shanti ke mandir me pehle aur roz aana chahiye...! pranaam didi..aasha hai aap bhavishy me bhee aise hee humara ghyaanvardhan karti rahengi aur sahee marg dikhaati rahenge...pranaam !

9:48 PM  
Blogger लावण्यम्` ~ अन्तर्मन्` said...

Dhanywaad Narendra bhai


Shri GANESH ji ki KATHA aapne bhee kahee aur mujhe Ye Kavita yaad aa gayee . aapko pasand ayee ees ki khushee hai
Shri GANESH KALYAN karein --
sa sneh ashish
- Lavanya

7:55 PM  

Post a Comment

<< Home