Monday, September 25, 2006

Rishte ( relations )


Boond aur Samudra [ Kavita ~~ Pehli ]~~~~~~~~~ * ~~~~~~~~~~~~~~

Rishte ~~ naate,
Sage Sambandhi
Pas ~~ Padaus
Gali Moholla aur Ghar Grihasti
door ki basti,
Mehlon ki hasti
Desh ~~ Videsh,
Bhes parivesh !
Grah ~ Up grah ,
Tarikayen, Niharikayen,
Anginti Chehre,
Janne ~ pehchane,
Ya, kuch anjane ,
Aur ~~~ Main !!

~SANDARBH ~~~~ [ Kavita - Dusri ]

Jyoti ka jo Deep se,
Moti ka jo Seep se,
Wahi RISHTA, mera , Tum se !

Pranay ka jo Meet se,
Swaron ka jo Geet se,
Wahi RISHTA mera, Tum se !

Gulab ka jo Itra se,
Tulika ka jo chitra se
Wahi RISHTA mera, Tum se !

Saagar ka jo Naiyya se,
Peepul ka jo Chhaiyyan se,
Wahi RISHTA mera, Tum se!

Pushpa ka jo Parag se,
Kumkum ka jo Suhag se,
Wahi RISHTA mera, Tum se!

Neh ka jo Nayan se,
Daah ka jo Jalan se,
Wahi RISHTA mera, Tum se !

Deenta ka Sharan se,
Kaal ka jo Maran se,
Wahi RISHTA mera, Tum se !

0 Comments:

Post a Comment

<< Home