Saturday, September 23, 2006

Sree Krishnam sharanam Mamah :



Cheer Haran ki Poorva - bhumika ~~~~~~~~~~ ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dwarika mein sanjh hui thi !
Krishna jhool rahe jhoole pe,
Hath sarota liye ruka tha -
Man Radha mein leen hua tha,
Vrindavan ki kunj galin mein,
Yamuna tat per Maun khada tha !

Anyamanask, man ke taaron se,
tabhi ek swar ho gaya Jhankrit -
dabi hui siski thi kya woh ?
aah ! Lahu ki boond oobhri,
kati anguli Van Malin Ki !
Subhadra, Rukmini, Bhama daudeen ,
ye kya ho gaya ! Draupadi nikat khadi chakit thin !
Sahsa, fad diya Aanchal Pat ,
Bandh diya ghaav Krishna ( draupadi's other name ) ne jhat pat --

Dwarikadheesh tab sahaj muskaye -
" Panchali ! Yeh preet tumhari !
Main rini tumhare bandhan ka !"
Yehi Nau so ninyanbe dhaage ,
Bane Cheer Panchali ke aage ,
Hastinapur ki Rajya - Sabha mein,
Draupadi ki Lajja ke pehredaar bane !

Kahte hain Sree Hari sada ~~~

" Patram pushpam Falam, Toyam ,May Bhaktya prayacchati I
adaham bhaktyparhatmshnami Prayatmanah ":II 26 II

"Yatkaroshi yadshanasi yajjuhoshi dadasi yat I
Yattpasyasi Kountaiye ! Tatkurushva madarpanam " II 27 II

( Meaning of the above Sanskrit shloka from Bhagvad Geeta )

Jo bhi mujhe prem se deta,
phool, parna yaki Fal - Jal,
Main use , sweekarta hoon !
Jo bhi tum bhogte ye de dete,
yaki jap tap karte,
Mujhi ko wah tarpan milta hai !

[ Yeh Bhagwat Geeta ka Amar Sandesh aur Saar hai ! ]

0 Comments:

Post a Comment

<< Home