Friday, September 22, 2006

sukh aur Dukh

Song : Pyas liye Manva humara ye Tarse
Singer : LM

mere kuch khayal bhi yehan kehe deti hoon,suniye

~~Kismat ka nahi dosh bawre ,
dosh nahi Bhagwan ka !
Dukh dena to kaam hai Jag mein
bus yunhi Insaan ka !

[ Pandit Narendra Sharma ke Filmi geet ki panktiyaan ]Aur ,~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~Sach hai Sukh - Dukh mein Maanavko ,
Sukh hi Priya hai ~
per Sukh kya hai ?
Sukh bhinn aur Sukh bhog bhinn
Sukh bhog, kshanik Indriya nartan,
Sukh Amar, Chirntan, aatma - janya !

[ Sukavi Sumitra Nandan Pant ki Kaavya Panktiyaan ]~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ho re Man ki bhoomi per,
dukh ka hal, gadva ker ,
jab koi dheere dheere se chalta hai ,
chalta hai !
dukh ki barkha se seench seench ker
Sukh ki Oojli Fasal ko
aksar baant diya jata hai !

[ Lavanya ]
!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Gam aur Khushi ka anubhav hi Zindgani ka safar taiyy karna hai !
Jab dono hi haal mein Dil ko samhalna aa jaye tub to kya kehne !!

0 Comments:

Post a Comment

<< Home