Sunday, October 01, 2006

Ban ka Hirna ( The Deer of a Forest )


Ban ka Hirna -- I read this Info. --- written by : Narendra Sharma --

" O Jungle ke Hirne " Kisi Nagar ka ek navyuvak, us hiran ke jungle se, bansuree banane ke liye, ek baans ki pauri, kaat lata hai. woh hiran usi baans ki pauri ke swar per mar mitne, shehar chala aata hai. ( Yeh Papaji ki KAVITA hai -- jiske SHABD , mere pas nahee hain :-( agar kisi ke pas ho to kripya batlayein -- aabhhari rahoongi )

Papa ji ke kaee geet , " Lok - Katha " jaise lagte hain --

Hiran aur Raja Dashrath ki Lok Katha kuch ees prakar hai ---

Yeh kalpana bhee waisee hee hai, jaisee Hirni, apne Premi Hiran ke khaal ki, khajadee ke swar ko sunneke liye, Raja Dashrath ke Mahal ke peechwade aatee hai --- kyomki, uske Premi Hiran ko maar ker, uski chamdee se, Raja Dashrath ne apne bete RAM ke liye, Khajadee banvayee thee --- "

Found this Unusual song sung by Latadidi : written by Sree Shailendraji

click & enjoy the vocal wizadry .....

Munimji (1955) (Lata Mangeshkar) Ghayal Hiraniya
Lyric: Shailendra Music: S.D. Burman



Ek meri Kavita bhee kuch kuch isi vishay per hai .... suniye ....

Bansee Keh raha hai Ek Kahani ....

Ek tha, Hirna, Ek thee Hirnee,
aao sunaoon, Kahanee, inki,

Jungle Jungle sath ghoomte,
pyar bada tha, mookh bhee choomte,

ek tha hirna...ek thee hirni ...

ek din ek shikari aaya,
kheench ke usne teer chalaya ....

Radha : Hiye ...... :-((

Maar diya Hirni ko usne,
Hiye bechara Hiran pachtaya ....

ek tha hirna...ek thee hirni ...

Radha : " Bansee, Fir kya hua ? "
Bansee : Khal kench ker us nirmam ne,
Sunder sa ek Mridang banaya !
Khoob bajata Naach karata ..
Apni Bhilnee ko wo khoob nachata ! "

ek tha hirna...ek thee hirni .........

Radha : " Bansee aage kya hua ? "
Bansee : " Roj sanjh ko Hiran bechara
Sunker thaap, kheencha sa aata !
Radha : " haan ................."
Bansee : " Dhalta Sooraj, roj dekhta,
baar baar fir yaad wo karta
Apnee pyaree us Hirni ko !

ek tha hirna...ek thee hirni ................

Aah lagee Hirne ki aakhir,
Gir padee nachtee Bhilni ek din,
Parbat parbat goojn oothe the ,
Jungle mei khamoshee chayee !

Radha : " Hiye ....tch ...tch ... "
Bansee : Reh gaye dono ab akele,
Dono Ghayal, dukh ko jhelen
Gunjtee reh gayee Thaap Mridang ki,

ek tha hirna...ek thee hirni ......Ek tha Hirna ...Ek thi Hirni ...

Lavanya

0 Comments:

Post a Comment

<< Home