Monday, October 16, 2006

Govinda ala re .............


bachpan ke dino mein, jhank rahi hoon aur unhone mujhe ,
Arbi Samudra ke kinare base,
Mahanagar , Maya puri Bambai mein lauta diya.

Govinda ala re .............ki masti, Handi fodna, aur jawano ke dalon ka kartab karte hue , ek duje ki peeth per chadh ker Krishna Kanhaiyaa ki tarah, Matki tak pahunchna, Matki = Handi se doodh, phool , patton ka girna aur wahan per rakhe paison ka oothana , ye sare drishya , yaad aa rahe hain !

Mera bachpan, Machuaron ki ghanee bastee ke bahut najdik beeta hai. Us basti ka naam tha " Danda " ;-)

Koliwada Koli logon ki bastee thee jo Bambai ki pramukh [Adivasee ] - Jan - Jaati hai.

Ek Kolee Kanya jiska naam tha Kashi won humare ghar per rehtee thee aur Krishna Janmastmi ke avsar per, GOVINDA dekhne hum uske sath un logon ki bastee mein jaya karte the.

Bahut maja aata tha dekh ker .... Maujon ka oochalna, lakdi ki badi chotee naaven , machure , Machlee bechtee streeyaan aur jaal samete Koli purush.

Atit ke chal chitra ................................sajeev ho rahe hain.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home