Monday, October 16, 2006

Ashadhi Badalon ka pravas / Ode to the Monsoon winds ]


Malyanil sugandha aayi aali,
Fir ghir aaye Badra kale ~

dakshin dish se oothte
jhuk jhuk ker fir rookte
Mahasaagar ka Jal peete !
ghir aaye Badra kale ~

Lanka - dweep nihare,
Narkeli ke vriksha pukare
patton ke mukut hil ker kehte
Tum, rook jao badra Kale
Ghan barso musaladhaar !

Manthar gati se aage badhte,
Aandhra, Karnatak se mudte,
Goa se fir le jeevan Sangeet ,
Dakhshin pathar per barsate !
Phir ghir aaye badra Kale !

Chal Gajgaminiyon si chaal
Oothaye rom rom mein jwaal
San - sananan san, sunvate,
Fir Maharastra per chaate !
Lo, fir ghir aaye badra kale !

Tript ho aahla ras sub gaate
Mayur bhi dekho nritya dikhate .
Gaanv sheher, jan jeevan per
oomad ghoomad chaa jate
sam darshi amrut varsha barsate
Aali, yun kale badra ghir aate !

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

From : Lavanya

0 Comments:

Post a Comment

<< Home