Monday, October 16, 2006

Kala aur Boodha Chaand !


Kala aur Boodha Chaand !
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Bojhil jeevan ke bhaar bhara main sammukh hoon ,
Jarjar jeevan ka bojh liye , main stambhit hoon !
Chand dekh raha , woh bhi Saathi hai mera ,
mere jeevan ke antim chor pahuncheen pagdandi ko !

Janam Maran, kisne samjha hai ? Jwar bhata hai ye !
Aateen lehren, hut jaateen hain fir - fir aateen hain !
Aas ke badal ki badlee bhi neer kahan barsateen ?
Bijli kshan kshan kaamp kaamp ker tham jati hai !

Main haar chuka tan man aur sarvasva mera .
Ai Chand ! suno tum bhi , jo main keh raha !
Aaj khada hoon , peeth dikha ker , chal nikla,
Roko mat mujhko , hai path per yunhi aage jana !
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
[ Lavanya ]

0 Comments:

Post a Comment

<< Home