Bharat ke Naam


Meri Nanhee si ye Smranjali :
Ai Desh Tere Naam, mera yehi hai Paigaam,
Saavdhan , Saavdhan, rehna TU , Saavdhan !
Kabhi kudrat tujhko jhakjhorti " Tsunami " bun,
Kabhi Bam fat te, tere Shehron mein lahu baha
Kabhi Asam Naxal panthee bun tadpata hai to ,
Kabhi Kashmir ki Kalikayen roundeen jaateen hain
Gujrat jal oothe Dharma ki Duhaai ,
cheekh pukarRajdhaani mein Kursiyon ka hota beebhatsa Vyapaar -
Na sharam bachee na bachee Sabhyata, Hiye ,
Ye kaisee daroon vyvasatha badhtee jaye aaj !
Ai Desh mere Tere naam , mera yehi hai Paigaam,
Rahe tu Aabaad, sada Khush haal aur Aazaad
Tujhko arpeet prarthnayen O mere Bharat Mahan !
Rehna Tu Saavdhaan, Saavdhan, Sada tu Saavdhan !~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~[ Lavanya ]
0 Comments:
Post a Comment
<< Home