Sree Sudheer Phadke -- article -- From : L
Sree Sudir Phadkeji has written an article --- From : Shraddhanjali Book named " SHESH ~~ ASHESH " ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~\~H Sree Sudhir Phadkeji wrote in memorium -- for Papa --- Late Pandit Narendra Sharma in a bookwhich my elder sister VasaviModi had published after my father passed away in 1989 at the peak of hiscareer , giving his expert advise for the most successful TV series ,MAHABHARAT, being made by Sree B.R. Chopraji.This is what " BABUJI " or music director , Late Shree Sudhir Phadke wrote----Mere Saathee GEETKAR :~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~" Ek atyanta vinamra, evam mridu, saatvika evam shaleen aur param gyani hotehue bheeahamkaar se achute vyakti ke sampark mei aane ke sath sath mujhe unke sathkaam karne ka avsar prapt hua ese main apna ahobhagya manta hoon.Vishuddha Hindi me, mridu evam madhur kavya likhna , thos evam panditya purnahote hue bhee , sulabh , ras purna, , ramyak geet likhe ja sakte hain eskaanubhav,kayee baar ees mahan vyakti ke sath hua.jis vyakti ke sneh se smit hone per aaj bhee aapko gaurav paida ho , un viralvyaktiyon mei main, Pt.Narendra Sharma ko asadharan sthan pradan karta hoon. "[ Then he writes re: Sant Jana Bai 1948 --- G. D. Maadgulker & Papa ji were towrite Marathi & Hindi songs forthis -- Bi - Lingual Film.]" Subah paune 7 baje { RABHAT ( studios ) ki Car hum teeno ko le ker, studiopahunchtee thee.Wahan mere kamre mei, table aur kursee hata ker, chaddaro aur takiyon kapraabandh kiya gaya tha.Vadak to pehl hi taiyyar rehte the. Taro Taja phool bhee rakhe jate the.Aur agarbattee bhee jalayee jati thee. matlab mauhaul ko pavitra aurprassann rakhne mei koyee kasar nahee thee.Pehle din ........Maadgulker likhit " Bhupalee yane Prabhatee -- "" Prabhat samayo patla, aata jaag ba Vitthala " --maine use Swar - Baddha kiya.Tab tak Narendrajee bhee Prabhatee likh ker taiyyar the ,samne Hindi ka chamatkaar ," VItthal " shabd -- jo Hindi ~` bhasheeyon mei bahu prachalit nahi hai,likha tha," Prabhat Vandana kare, Jago hey Hare hey Hare hey Hare ,Usha ka Deep baal, sajatee Gagan thaalAarti utare jagat, jago Sanwre , he Hare "1954 me RATNAGHAR ke liye Lataji ne yeh Geet Panditji ke shabdon ko sur diya," Aise hain Sukh sapan humare, ban ban ker mit kate jaise , balu ke ghar nadeekinare"1956 mei SAJNI film --- Lataji ka Swar, Bol Panditjike Sangeet mera ---" Ja re Chandra ja re, aur kaheen ja ...Gokul se Krishna Chandra jayenge Sakare ja re Chandra Ja ! "Bhabhi Ki Chudiyaan film ka Geet " Jyoti Kalash Chalke " to ek jagmagata Ratnahai !Kaal ke bandhan se pare pahunchnewale Narendra ke geeton me use asadharansthan prapt hai.Marathi ke ek jane pehchane kavi, Swargiya Bha. Ra. Tambe ke ek suvirachit ,avismaraniya Geet ka Hindi anuvaad kiya Panditji ka yeh Geet main aksarAakashwani ke kendron se , videsh ki mehfilon mein ga chuka hoon --- suniye," Madhu maagish majhya sakhya pari,Madhu pilnya paree re bal na karee !Madhu ghateech rikame padit Ghari !!Madhu pilyaan pari re bal na karee ! " --- [ Marathi version ]" Madhu maang na mere madhur meet,Madhu ke din mere gaye beet ! " -- [ Hindi version ]Aakashwani, Vividh Bharti ke pramukh pad per aaseen , uske rochak va charitarthsheershak denewale Pt. Narendra Sharma ki jagrukta -- Desh Nishtha ke chinhhain. "" Sawarker Darshan Pratisthan " namak Granth ke we pradhan sampadak rahe.Door Darshan ke mere, " Arohee kaarya - kram " ka unhone sutra - sanchalankiya tha.Unke Darshan, unki vani mere pas sadaiv surakshit hain jo mere liye,"Anmol Dharoher " hai.Unke bal per Main apne ko bad bhagee maanta hoon ! "~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~\~~[written By: Music Director : Sree Sudhir Phadkeji ]~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~\~~~~\Compiled By : Lavanya
To listen to an interview on Papa click on the link below
http://www.nrifm.com/
0 Comments:
Post a Comment
<< Home