Monday, October 16, 2006

Khwab


[ 1 ] Ai Khwab .........Tum chale Jao !
yunhi aa aa ker fir ,
Dabe paanv ........laut jao !
Jab tum aaker chale jate ho ,
kyon apni nishani chode jate ho ?
Tum aaye to the yehi bus hai ,
wahi sunehri jhalak dikhlao ,
jo bikhri rehti hai chehre pe !
Her Chehre per ,
tumhare jane ke Bad
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~[ 2 ] Khwabon se dhuan uth ker , kehta hai kinaron ko ,
Hum laut ke aayenge fir inhi makamon ko -
Teri aankhon ke ujalon mein hum doobte jayengen
patvar muhobbat ki le , saahil tak aayengen
Kaisa hai Junoone dil, her haal pe Babastaan
Ek TU hai nigahon mein, jale shama jyun ahista
Kyon pyase hain lab mere, kyon chayi udasi hai ?
Kyon chup hain diwaren ?
Gamkhwar hai kyon jeena ?~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~[ 3 ] Rehne bhi do ye wah wahi,
hain ye tootte se manjar
Gumshuda ki hain talashen ,
doobte dil ki hai awaz !
Na sath chahiye na, Manzil ka housla
Na Maanjhiyon ke saahil, na khone ka gila !
Dafna ke aaye hain hum, her rishton ko tamaam
bhoole se aa na jaye, hothon pe tera naam !
Hain yaad ke samandar , thehri hui hai sham
Sub kuch udas sa hai, teri aarzoo ke naam -
Kaise likhoon main Naam tera, syahi se aajkal
Ho dil mei tum samaye, mehmaan se banker !
Chup rehna hi behtar hai, Karna barf paani ko
Kahin aag na laga den, mere khoulte khayal !
Tere raston pe aakhir, na aaye oomar bhur -
Lab si liye hain yaaran, karte hue safar !
per yaad hai ki barbas, aati hai jhoomke
Baanhen gale mein daalne, hain ye iltaja ke kaam !
Hain dhadkane abhi bhi , rooh mein wahi aagaaz
hai aaj bhi labon pe halka sa tera naam !
hai sukoon mujhko yaarab- dil mein tadap si hai
nahi hai to ek tu hi aankhon mein jaise khwab !
tu ne mushkilen chuda ker di thi hume panah
hai aaj bhi jahan mein thithki hui si aah !
Kuch der ko to tanha rehne do ji hume,
yaadon ke jhurmuton mein thehri hui hai Sham !
lambe udas saaye, lahrate jheel per ,
takta hai moonh baaye aasmaan ko jyon chinaar ! ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
[ Lavanya ]

0 Comments:

Post a Comment

<< Home