Monday, October 16, 2006

Kuch behtareen Sher :~~~


1 ) "Behzad" sahib muhabbat ki pehchaan is andaaz mein karaatehaiN :-
"ashkoN ko mere lekar daaman par jaraa jaaNcho,
jam jaaye to ye khooN hai, beh jaye to paani hai !"

2 ) muhabbat aur majboori ka daaman aur choli ka saath hai. isi baare mein:-
"majboori-e-muhabbat Allah tujh se samjhe,
unke sitam bhi seh kar deni padi duayen."

3 ) aage wo kahte haiN ki ishq ka khyaal ibaadat mein bhi peeccha nahiN chhodta:-
"ab is ko kufr kahoon ya kahoon kamale ishq,
namaaz mein bhi tumhaara khyaal hota hai."

4) muhabbat ki hadd kahan tak hai, dekhiye:-
"jaan lene ke liye thodi si khaatir kar di,
raat moonh choom liya shamaa ne parwaane ka."

5) Galib ka ye sher to aapke zehan se na jaane kitni baar guzra hoga:-
"ishq par jor nahiN, hai ye aatish Galib;
ke lagaaye na lage aur bujhaye na bujhe."

6 ) Arsh Malsyani ka yeh sher shayad pasand aaye:-
"tawazun khoob ye ishq-o-sazaye-ishq mein dekha,
tabiyat ek baar aayi museebat baar baar aayi."

7) lekin aakhir ye `muhabbat' hai kya balaa?
Iqbal sahib ka ye sher qabil-e-taareef hai:-
"muhabbat kya hai?
taaseer-e-muhabbat kis ko kahate hain?
tera majboor kar dena, mera majboor ho jaana."

8) aur `Adam' sahib bhi dhoond rahe haiN:-
"wo aate hain to dil mein kuchh kasak maaloom hoti hai,
men darta hoon kahin isko muhabbat to nahin kahte !"

unko tasallibakhsh jawaab nahin mila:-

9) "ay dost mere seene ki dhadkan ko dekhna,
wo cheez to nahin hai muhabbat kahen jise."

10 ) kahte hain ki ishq andha hota hai lekin? :-
"ishq naazuk hai behad, aql ka bojh utha nahiN sakta."

11 ) ek zamaana tha ke ishq ke maaroN ki zubaan par `Daag'sahib ka ye sher besaakhta nikal jaata tha:-
"dil ke aayine mein hai tasveere yaar,
jab zara gardan jhukayidekh li tasveere yaar ! "

12 ) mere nojawaan doston, ye yaad rakhna:-
"muhabbat shauq se keeje magar ek baat kahti hoon,
har ek khush-rang patthar gauhar-o-neelam nahin hota."

13 ) aur ye bhi yaad rakhna jaise ke Iqbal sahib ne taaqeed ki hai:
"khaamosh ay dil! bhari mehfil mein chillaana nahin achha,
adab pehla qareena hai muhabbat ke qareenon mein"

14 ) aakhir meiN Faiz sahib ke is sher ke saath baat khatm karti hoon jismen maano saari kaynaat ek taraf aur muhabbat ?

:-))
"aur kya dekhne ko baaqi hai,aap se dil lagaa ke dekh liya!"

0 Comments:

Post a Comment

<< Home