Monday, October 16, 2006

WAQT KYA HAI ?



WAQT KYA HAI ?
--------------------------------------
Banta hua sach , ki maya - jaal ?
Bhoot, bhavishya ya Vartmaan ?

Freeze - Frame mein band lamhe,
Photo images , slide show hai ?

Padma patra per laite Bal Mukund ,
Shesh Shayi Narayan, Ksheer Sagar per ,
Ulkayen Brahmand mein tirohit vyom par
Shrishti Sarjan, Natraj Nartan fir Samadhi Kailash per !

Ban chale Ram Raghurai , sang Janki Maai aur
Sath , Lakshman jaisa Bhai ! Rawan - Vadh !
Missar mein uthte Piramyd , shila dhoti peeth ,
Hammu Rabbi ka Niyamak Shila Lekh Assyiria mei !

Chin mein Barud , Kagaj ki Ijad , estemaal , fanoos sunder ,
Sindhu Ghati Sabhyata ki neenv aur achanak mit jana !
yeh Waqt beeta, aaye Samudra Gupta, Chandra Gupt , Ashok,
Panini, Bhav Bhuti, Varah Mihir, Aarya Bhatt aur Chanakya !

Shak, Kushaan, Hun, Taimur Lung , Chowl Raj, Chalukya, Pandya Raj
Saat Wahan, Madurai, Meenaxi , base Mandir Nagar , Khajuraho , Ajanta !
Moghul aaye, Indra Prastha ko Delhi , ye ab naya Naam diya !
Taj Mahal, Moti Masjid, Qtab Minar, Sikri Bulund Darwaja samne aaye !

Unhe dekhte, Salaam karte ab Gore aa ghuse Bharat ki Bhoomi per !
Aaudhyogik Kranti ne modi disha passchatya Sabhyata ki aur lad mare,
Fransisi, Italian, German, Spanish , Dutch , Britanvi Yahudi se , aapas mein
dekhta raha een yuddhon ko Madhya Asia, purvi Asia thatha Roos aur Chin !

Basa Amrika bhoo khand, tab Europe ke hi Ansh se aur bahoot aage badha !
Chand per ja pahuncha aadmi , bhoot kal ab aaj ka Vart maan Beesvi sadi bana !

Do Do Maha - Yuddh aaye aur chale gaye, Daudti raheen Machine her Up Khand pe,
Anu Sandhaan, Bam Visfot se nar , Purna Nar -Samharak hai ab bana !
Kya hoga Bhavishya, Manav jati ka, Maanviya Sabhyata ka ?
Sochen agar 21 vi Sadi ke aarambh mein to kya kahen ?

Mobile, wire less taknik , DVD, CD, TV , computer, muto media , transportation
Quantam physics , Vigyaan ki den , suvidhaayen atyaaadhunik Yug ki hain aaj !
Aur aage faila hai Maha Saagar , aanewale Bhavi Itihaas ka , jo hai anischitt !
Vasudhaiv Kutumbakam yatharth !
Duniya ek chota Gola hai ~~ Neel Grah , Prithvi !

Yehi vishal Vyom ke madhya mein Ek Humarta Ghar hai ! Bada Sunder hai ~~
Kya Hum eese nashta hone dengen ?
Ya Swarg sthapit karenge , dhara per ?
Yeh aage ki shesh Katha kya hogi ?
Ye to aanewala Waqt hi likhrga , nayi Kavita !
Jo soch rahen hain aaj, ye humari bus Prarthanayen, duayen ,
Waqt ke naam hain !
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
[ Lavanya ]


0 Comments:

Post a Comment

<< Home