RAM - NAAM ----
RAM - NAAM ----
Ram hain sub mein , na sub hain Ram,
Kintu hai ADHIKAAR sub ko, Ram ka len Naam !
Ram ka vaishisttya , unke naam mein vyapak,
Swayam Ram pranamya,
unka naam param pranaam !!
-Nidhi Pati -- Prati Nidhi Ram nidhi pati,
Bharat prati nidhi Ram ke !
Aprainami Ram, karan Bharat shubh parinaam ke !
Aur aisa kaun , sanskrit , vikrut ko jo ker sake ?
Prakruti ki mamta, ahanta , jeev ki jo her sake ?
Keh sake jo, Ram hi nidhipati, Ayodhya - dham ke !
Awadh ban jata vadh - sthal , wadh sthal banta Awadh,
Bharat ke karan na sajjanta sahaj tajta Awadh !
Bharat ke dakshin kiye kartab vidhata vaam ke !
Awadh sarthak hai Bharat ke Nandi - Gram niwas mein,
Sankhya prakruti - pradhaan sarthak Bharat yogabhyas mein !
Ram sayan, Bharat niryan Surya antaryaam ke !
Tyag - bhag - vivek tek, avirat sadhna ,
Bharat - vrat mein nihit raja Ram ki sambhavna !
Bhartiya Grihastha pratinidhi hon Bharat nishkaam ke !
Bharat ki kartavya - mati mein Naagrik ADHIKAAR hain,
Bhart , BHAARAT ke subhag avitavya ke aadhaar hain !
Man humare sagun mandir hon Bharat gun gram ke !
[ Dono Kavya Rachna : swargiya Pandit Narendra Sharma ]
0 Comments:
Post a Comment
<< Home