Wednesday, October 11, 2006

DADDA / Rastra Kavi Sree Maithilee Sharan Gupta

<-- This old Pic. has Papa & Pant ji behind DADDA = Sree Maithili Sharan Gupta & --- >
the picture below is of
PAPA ji @ AIR studios listening to some recording before its broadcast

DADDA
Rastra Kavi Sree Maithilee Sharan Gupta ki yaad aa rahee hai .

[ By : Lavanya ]
[राष्ट्रकवि मैथिलीशरण गुप्त अपने मित्रों
नरेन्द्र शर्मा, सुमित्रानन्दन पंत,
बालकृष्ण शर्मा नवीन, डॉ॰ नगेन्द्र
व इलाचन्द्र जोशी के साथ]

``सखि वे मुझसे कह कर जाते,
तो क्या वे मुझको अपनी पथ बाधा ही पाते।
नयन उन्हें हैं निष्ठुर कहते
पर इनसे जो आँसू बहते
सदय हृदय वे कैसे सहते?
जायँ सिद्धि पावें वे सुख से
दुखी न हों इस जन के दु:ख से
उपालम्भ दूँ मैं किस मुख से?
आज अधिक वे भाते।''
-मैथिलीशरण गुप्त

ATIT KE CHAL CHITRA " Dadda ka Ghar -- Delhi 1962 " ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Delhi ki loo bhuree garmiyon ka mausam tha. Hum log Bambai se 2 mahino ki school ki chuttiyon ke dauran, Papaji ke pas Dehli aaye hue the. [ Papaji = mere pita / swargiya Pt. Narendra sharma ]

Papaji us samay AIR ke Chief Producer / Director ke pad per the aur unka Delhi rehna bhi avashyak tha. Bharat Sarkaar ne unhe Bambai se Delhi bulva liya tha. Hum log Bambai mein hi pale bade hue the aur Nayee Dehli hume " parayee Nagri " hi lagtee thee.
Papaji se milne ka utsah to tha per Delhi ki Garmiyon ne pareshan bhi ker rakha tha. Per Hum sub aa hee gaye Delhi. Dadda, Sree Maithlee Sharan Gupta Rajya Sabha ke M.P. the. Thik Rastra Pati Bhavan ke Chaurahe ko paar ker , jo pehla Makan padta tha uski pehli Manjil per, Dadda ko ek Flat , Bharat Sarkaar dwara , rehne ke liye diya gaya tha. Dadda Garmi ki chuttiyon ke Sansadiye satra mein, apne Mool vatan, JHANSEE ja rahe the. Per jab hum [ meri amma Sushila Sharma aur hum 4 bhai aur bahen ] 3 dino ke lambe safar ke baad, Dehradun express [ Jo her station per rook rook ker, 3 dino ke baad Bambai se Delhi pahoonchti thi aur Express kehlane ke............. bilkul layak nahi thi ;-)) ...] Us se yatra poori ker ke hum log, matlab , main, Lavanya, mujhse Badi Bahen Vasavi , Chotee Bandhvi aur bhai - Paritosh aur humaree Amma, Sreemati Sushila Narendra Sharma , ye hum sub, Dadda ke ghar pahunche. Wahan Dadda se milte hi, Hum sub bacchon ne , unhe pair choo ker , vidhivat PRANAM kiya. Dadda ne sir per hath rakh ker aashirwaad diye. Amma ko dekh prassann hue aur kaha, " accha hua Bahu tum aa gayeen. Chouka samhalo aur dekh lo, maine anaj, aata , daal chawal sabhi rakhva diya hai , tum eese apna hi GHAR samajhna aur anand poorvak rehna main laut aaoonga aur tum logon se miloonga. "

Unki nisschal hansee aaj bhi mujhe yaad hai. Meri oomar , us waqt, kareeb 11 ya 12 varsh ki hogee. Dadda , khoob lambe the. duble patle bhi the. Aur Garmiyon mein maheen suti dhotee aur ek sutee " ang vastram " bilkul Gandhiji ki tarah lapate rehte the. Unka ek Sevak bhi tha. Naam abhi yaad nahee aa raha. Wahi unki dekh bhaal karta tha. Bade se badee Hastee aa jaye ya koi sarvatha aparichit .ya koi navagantuk .........subko ek sarikha Nashta woh ek badi see thalee per saja ker de jata tha.

Nashte mein humesha yehi parosa jata tha ........1 chota sa ladoo , Pudinee ki ekdum Haree chutnee ka chota sa ek BINDU aur Paav tukda [ 1/ 4 ] ....Mathdee !! :-))
Dadda , kehte the ki, Sarkaar Bijli ka Bill deti hai aur hume uska sahi istemaal karna chahiye , durupyog nahi karna chahiye ...aur we, 1 No. per hee Pankha / Fan.... chalate the aur poore paseene se bheeg jate the !! :-))
Yeh unka Baddappan bhi tha aur Bacchon see nischal masoomiyat bhi thee unke vyakttitva mein aur unki sadgee aur bholapan tha aur hum mein se koi unki kahee baat ka pratikaar nahi kar paya.

Haan unke Jhansi ke liye Prasthan hone ke baad , Fan / Pankh khoob teji se chalta raha per Delhi ki Garmee ke samne wo bechare ki bhi kya bisaat thee !!
Dadda ne Vasavi ki HASTAKSHAR Ekattha karnewali Ek copy mein yeh likh ker use diya tha jo aprakasheet hai --- kyunki Vasavi her Kavi se kehtee thee ki bilkul nayee Rachna aap meri ees kitaab mein likh dijiye --- to suniye ,
" APNA JITNA KAAMAAP HI JO KOI KER LEGA ,
PAA KER UTNI MUKTI AAP WOH AURON KO BHEE DEGA ! "
[ aur neeche hastakshar kiye, " Maithili Sharan Gupta " ]
Dadda ke flat ke padaus mein ek ASHOK bhai rehte the jo Rastra Pati Bhavan ke Chief Pastry CHEF the !!

Unke hathon se taiyyar kiye gaye , bahut badhiya Puddings, custard, Jello , Ice Cream, Cake khane ka avsar bhi usi dauran hume mila tha. Jo Meethi yaadon mein Ras bhee ghol gaye !

0 Comments:

Post a Comment

<< Home