Monday, October 16, 2006

" Iccha - Mritu ".............

" Iccha - Mritu ".............
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
" Iccha - Aniccha ke dwand mein dhansa, pisa mann -
Dharasayi tan, dagdh , kutil agni - vrun se , chalni,
Tejaswi Surya sa, Ganga - Putra ka , gira , dekh rahe,
Kurukshetra ki Ran - bhoomi mein , Yuddhisthir !

[ Yudhisthir ]
" Ha Taat ! Yuddha ki vibhishika mein tapt - dagdha ,
peedit , lahu chooste ye Bano ka saghan aavrun ,
tan karom rom - ghayal kiye ! Ye kaisa Kshan hai ! "

Dharm -Raj, rath se ootar ker , maun khade hain ,
Rook gaya hai yuddh , Ravi - Astachalgami !
aa rahe sabhi Bandhav , dhanurdhar eesi disha mein ,
Ashru anjali dene, vikal, dukh katar , tapt hriday samete.

[ Arjun]
" Pitamah ! Pranaam ! Kshama karen ! Dhik- dhikkar hai !"
Gaandiv ko ootar , ashru purit netron se karta Pranaam ,
Dhara per jhuk gaya Partha ka purusharth , hatash , haara
Tan - Man, man manthan Kurukshetra ke Ranangan mein !

[ Bheeshma Pitamah ]
" Aao putra ! Do sheershasan mera sir ooncha karo !"
[ Arjun ]
" Jo Agya Taat ! " Keh paanch teeron se oothaya sheesh
[ Bheeshma ]
" Pyas lagi hai putra, pila do jal mujhe " - fir aagya hui ,
Nishabd Arjun ne Shar Sandhaan se Ganga prakat ki !

[ Sree Krishna ]

" Hey , Veer Ganga -putra ! Jai Shantanu - Nandan Ki !
Suno Veer Pandav,ICCHA ..............

Suno Veer Pandav, " Iccha - Mritu " eenka Vardaan hai
ab Uttarayan ki karengen prateeksha Bhishma yunhi ,
Lete Baan Shaiyya per , yunhi, purnahuti tak ! "

Kuruk - Shetra ke Ran Maidaan ka ye bhi ek Sarg hai !

[ Lavanya ]

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

asha hai aap sabhi ko ye Drishya yaad ho aayega ~~~~ ~~~~
Mahabharat TV series ke oobharne ki prakriya maine bade kareeb se dekhi thi aur ees tarah ke kai sare Prasang mere man mein aaj bhi sajeev hain kyonki mere pita Pandit Narendra Sharmaji ne hi ees Series ka Concept diya, Title song likha aur her tarah ka Paramarsh bhi diya tha. Mere likhe hue 18 Dohe bhi Mahabharat Series mein maujud hain. Wo fir kabhi likhoongi ~~~

Yuddha ki Vishamta, Badon ke Atmosarga se hi plavit hoker , Ganga avtaran karvati hai, jisse Kutil manujta ke sare paap dhul jate hain !

Sabhi ko Gangaji ka Nirmal - Jal sheetalta pradan kare ,
yehi asha se,
vineet,
Lavanya

0 Comments:

Post a Comment

<< Home