Monday, October 16, 2006

Parvat Pradesh Mein Pawas -- Pantji Dadaji ki ek Kavita

[ Sindur & Sopan / Innocent Smiles ]

hindi.org/sankalan/varsha_mangal/poems/pavas.htm

Kavita ka Sheershak hai:

" Parvat Pradesh Mein Pawas " ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pantji ne ees mein Prakriti varnan itna sajeev kiya hai ki Himalay ke parvat shrinkhla kavita padhnewale ke samne sahaj, saakar ho uthte !

Shabd chayan, bhhav, pravah , lay aur gati chando ki matraon mein bandhi " Him Prapaat si sunder " , saral aur vegvati Kaavya - dhaara ban ker sakshat ho uthti hai --

Pehli panktiyaan hai , ------->

" Pawas Ritu thi, Parbat pradesh ,"

[ Pahadon per barkha ritu ka aagman hua hai, ]

" Pal Pal parivartit Prakruti vesh, "

[ Kavi Pant ji ki Sashakt Kalam, yehan per , humare samaksha, chal chitrose drishya prastut karne ki bhumika bana chuke hain --> Pathak utsukta se bandhe aage ke drishyon ko dekhne ke liye lalayit hai ]~~>

" Mekhlakaar parbat apar, "

[ alankaar , upmaan = Mekhlakar Parbat Shreni ]

" avlok raha hai baar baar, "

[ kya dekh rahi hain parbat Shrinkhlayen ?]

" Neeche Jal mein nij Mahakaar "

[ Parbat ka pratibimb Jal -rashi mei dristigochar hai - Sunder Shabd - Chitran ban pada hai ]

" Jiske Chrnon mein pada Taal, Darpan sa Faila hai Vishaal "

[ Yehan Darpan ke sath Taal ki Upma dene se Jal ki Swachta ka aabhas mil jata hai, yehi darshata hai, Sahi Shabd - Chayan , jo bhaavon ko bhi mukhrit karne mein saksham hai ]

" Giri Ka Gaurav, Ga Ga Ker,
Mad mein nas nas Uttejit ker ,
Moti ki Ladiyon se Sunder,
Jharte hai, jhaag bhure Nirjjhar !"

[ parbat per se behte hue jharne , usika gaurav - gaan , mad se uttejit hoker gate hue, Moti ki Ladiyon se [ Shubhra + Fenil ] dhaar liye beh rahe hain , ye kitna sajeev chitran hai. Upma , alankaar sabhi safal hain ]

" Girivar ke oor se ooth ooth ker,
Oocchaakshanon se Taruver,
Hain jhaank rahe Nirav - Nabh per,
Animesh, atal ,kuch Chintaper ! "

[ Yehan Kavi hume Oonat oothe hue Vrikshon se parichit karva rahe hain, jo Maun hoker kuch chintit se , maanav - hriday ke oor ( Mann ) se oothe bhavon se pratit ho rahe hain .

Ye pathak ke inner self - " Antarman ki Chetna " se juda sparsh hai jo Kavya ko Kaaljayi swaroop pradan karta hai.]

Aur ab,

" Ud gaya achanak lo Bhudher ,
Fadka apar parad ke per,
Rav Shesh reh gaye hain Nirjhar ,
Hai toot pada Bhu per , Amber ! "

[ yehan chitra sajeev, sapran bun utha hai, bhudhar Pare se, chamkile , per fadfadaker ud chala hai ~~~
jharnoka sangeet jari hai, aur achanak, mano sara aakash dharti per toot pada ho aise varsha , joron se girne lagti hai Yehan Shabd - Chitra mein Gati hai, aur Pakshi, jharne aur Badal barsneki 3 kriyon ka ek sath chitran hai ]

" Dhans Gaye dhara mein sabhay shaal,
Ooth raha dhuaan, Jal Gaya Taal,
Yon Jalad yaan mein vichar vichar ,
Tha Indra khelta Indra -Jaal ! "

Bhartiya puratan sahitya mein Indra Varsha Ritu ke Devta hain.
We ees Barsati Mausam mein mano " Jalad yaan " mane Pani se Sanchalit Viman mein ghumte hue apna Indra - Jaal ka sammohan bicha rahe hain.

Joron ki barish se der ker mano Shaal ke ped , jameen mein dhans se gaye hain.

Sarovar ki satah per kuhasa dekh Kavi use Dhuen ki upma dete hain mano Taal ,jal raha hai aur uske hriday se dhuaan ooth raha hai --

Peechle antre mein jo Varsha ka joron se girna uske baad Taal aur Shaal per uski pratikriya ko Indra ke Maya jaal ke khel ke sath joda gaya hai ]

[ " Woh Sarla , us Giri ko Kehti thi - Baadal -Ghar ! " ]

[ yeh panktiyaan ek Balika ke liye likhi gayi hain jo Parbaton per girti barish ko dekh unhe Badalon ka ghar keh ker pukara karti thi --Kavi ki ye Antarman ki aawaz hai, Kavya ki atma , ya kahen to Nazm ki Rooh hai ye Balika jise Kavi Sarla yani Simple = innocent ka naam dete hain . > Kavi Shree Sumitra Nandan Pantji Hindi Kaavya Jagat ke ek Yashashvi, amar Nakshatra hain jinki Divya Jyoti aaj bhi ajar amar hai. Unki Kavitaoon mein jo ek Masoom, bholi, naadan Nanhee Ladki ka patra hai , Wo Angrezi Sahitya ke William Wordsworth ke Ek aise hi Patra LUCY se bhi mel khata hai ~~~~ Bhaav ek se hi hain, bhule bhasha alag hon, aur Kavita Rachnewale do alag bhukhand per base Kavirmanishi hon ~~ Ye link dekhen, ~~
http://www.readbookonline.net/readOnLine/3315/ ]

" Ees tarah, mere Chitere Hriday ki,
Bahya Prakriti bani Chamaktrut Chitra thi "

[ Kavi yehan kehte hain ki, Bahar jo aankhen dekh rahi hain, use Man roopi Chitrakaar ek Romanchak Chitra ki tarah apne sajeev Kavya -Shilpa se rangon mein bhur raha hai ]

" Saral Shaishav ki Sukhad Sudhi si, wahi,
Balika meri Manoram Mitra thi ! "

[ Yeh Sarla Balika , ye masoom ladki , shayad Sach ho ya Kavike Sunehle bachpan ke dino ki mithi yaad hi shayad ek naye andaz se samne aayi ho, kise pata ? ]

Bachpan ki yaad kise mithi nahi lagti ? Aur we sari madhur yaaden aaj unki Manoram = Sunder Bal mitra mein sama gayi hain ]

Shayad Her Kavi Hriday tabhi Kavita likh pata hai jab wo Us Bhaav -bhoomi per ja ker baith jata hai jahan her vyakti ek Nadaan, bhola Baccha ban ker, Samaj ko, logon ko, ghar parivar ko, rishton - naaton ko, unse uthi anubhutiyon ko aur Kabhi Prakruti ko dekhta hai !

Kabhi aisa bhi hota hai ki, een sub ko dekhne parakhneke baad, ye bhi sochta hai ki, Main Kaun hoon ? Mera Wajood kya hai ees Jahan mein ?

Aur tab Kavi us ke bare mein sochta hai jo dikhai nahi deta , Pratyaksha se Paroksh ka safar wahin se shuru hota hai !

9 Comments:

Blogger Aryan Mayur said...

thanks it really helped me..kal muje skul me samjhana tha :P

11:20 AM  
Anonymous Anonymous said...

its great helped a lot

2:34 AM  
Blogger Unknown said...

can i plz get its translation ...in english

7:43 AM  
Blogger Unknown said...

can i get translated in english

4:38 AM  
Blogger pkk1969 said...

This comment has been removed by the author.

1:57 AM  
Blogger pkk1969 said...

Wow its good amaz. 1 really helped all lot😄😄😄😄😄😄😅😅😅😆😆😆😆😉😉😉😉😉😯😯😯😯😯😯😯😯😐😐😐😐😐😑😑😑😑😑😕😕😕😕😕😬😬😬😬😢😴😮😮😮😣😣😤😤😤😶😵😳😳😲😟😟😟😱😟😲😲😦😥😨😨😧😧😟😳😵😳😵😉😆😅😅😅😄😄😆😆😃😊😪😪😪😪🙏🙏🙎🙎🙇🙇🙆🙆🙆🙅🙅😼😼😺😸😹😽

1:57 AM  
Blogger pkk1969 said...

Wow its good amaz. 1 really helped all lot😄😄😄😄😄😄😅😅😅😆😆😆😆😉😉😉😉😉😯😯😯😯😯😯😯😯😐😐😐😐😐😑😑😑😑😑😕😕😕😕😕😬😬😬😬😢😴😮😮😮😣😣😤😤😤😶😵😳😳😲😟😟😟😱😟😲😲😦😥😨😨😧😧😟😳😵😳😵😉😆😅😅😅😄😄😆😆😃😊😪😪😪😪🙏🙏🙎🙎🙇🙇🙆🙆🙆🙅🙅😼😼😺😸😹😽

1:57 AM  
Blogger chetu said...

This comment has been removed by the author.

5:21 AM  
Blogger Santosh Dewangan said...

Thank you for presenting parwat pradesh me pawas

I have read it in my school...

For learning computer in hindi please visit

bit.ly/ComputerNotesAndTests

12:14 AM  

Post a Comment

<< Home