Ankahee Yaadein
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Asmanjas : ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Kisse kehtee ? kaun sune ?
umadateen rehteen jo mann mein,
Neer bhuree badlee see ,
birhan ki, wo ankahee yaadein !
Bhogee jo her Urmila ne
paashan vat Ahilya ne ~~
Shakuntala ne, jo Van mei,
Her Maa ne, prasav peeda mein !
wo ankahee yaadein !
Kaise Aashru ko koyee samjhaye ?
Kaise mann ke bhaavon ko dikhlaye?
Aisa Vaani mei samarthya kahan ?
Jo Rangon ko bol ker darshaye ?
Aah ! Ye, ankahee yaadein !
Reh jaateen hain ankahee hee
Laakh samjhane per bhee,
Kitnee hee Bheeshma pratigya see,
Dhartee ke garbh mein dabee dabee
bhavi ke ankur see, "ANKAHEE YAADEIN "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
[ Mera Prayas : Lavanya ]
umadateen rehteen jo mann mein,
Neer bhuree badlee see ,
birhan ki, wo ankahee yaadein !
Bhogee jo her Urmila ne
paashan vat Ahilya ne ~~
Shakuntala ne, jo Van mei,
Her Maa ne, prasav peeda mein !
wo ankahee yaadein !
Kaise Aashru ko koyee samjhaye ?
Kaise mann ke bhaavon ko dikhlaye?
Aisa Vaani mei samarthya kahan ?
Jo Rangon ko bol ker darshaye ?
Aah ! Ye, ankahee yaadein !
Reh jaateen hain ankahee hee
Laakh samjhane per bhee,
Kitnee hee Bheeshma pratigya see,
Dhartee ke garbh mein dabee dabee
bhavi ke ankur see, "ANKAHEE YAADEIN "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
[ Mera Prayas : Lavanya ]
2 Comments:
Beautiful poem.
Thank you Harshad bhai :)
Post a Comment
<< Home